hamin hain dar-haqiqat apne qari
hamin tak baat pahunchegi hamari
kahin par sar chhupana hi paDega
agar hoti rahegi sang-bari
kabhi fursat mile hum ko to sochen
koi manzar hai kitna etibari
sabhi ko dhup mein tapna paDega
jahan suraj ki pahunchi hai sawari
muqaddar ho chuki KHirda-faroshi
yunhi ginte raho bas rezgari
mujhe har aan khae ja raha hai
mere ehsas ka kutta shikari
har ek diwar girti dekhta hun
bahut mahngi paDi hai hoshiyari
Ghazal
Hamin hain dar-haqiqat apne qari
Hamid Husain Hamid