اردو हिंदी
Hamesha wahid-e-yakta bayan se guzra hai | Shaahi Shayari
hamesha wahid-e-yakta bayan se guzra hai

Ghazal

Hamesha wahid-e-yakta bayan se guzra hai

Azhar Hashmi

;

hamesha wahid-e-yakta bayan se guzra hai
KHuda ka zikr jab apni zaban se guzra hai

lakir khinch ke nur-e-guman se guzra hai
mujhe yaqin hai koi aasman se guzra hai

chamakta rahta hai donon jahan ki manzil par
wo ek shaKHs jo har imtihan se guzra hai

bas itna bol rahi chaaragar ki KHamoshi
bala ka dard dil-e-na-tawan se guzra hai

to kya hua jo ab aankhon mein qaid hai sahra
tere firaq mein dariya yahan se guzra hai

usi pe sabr hai mujh ko har ek daur yahan
bahaar aane se pahle KHizan se guzra hai

KHamosh lahje mein 'azhar' ko hashmi ne kaha
tera wajud bhi ek KHandan se guzra hai