اردو हिंदी
Hamesha sair-e-gul-o-lala-zar baqi hai | Shaahi Shayari
hamesha sair-e-gul-o-lala-zar baqi hai

Ghazal

Hamesha sair-e-gul-o-lala-zar baqi hai

Mirza Maseeta Beg Muntahi

;

hamesha sair-e-gul-o-lala-zar baqi hai
agar baghal mein dil-e-dagh-dar baqi hai

tufail-e-ruh mera jism-e-zar baqi hai
hawa ke dam se ye musht-e-ghubar baqi hai

baghair ruh-e-rawan jism-e-zar baqi hai
nikal gai hai sawari ghubar baqi hai

bahaar mein tujhe nale sunaunga bulbul
agar ye zindagi-e-mustaar baqi hai

kahunga yar se ek rose hath phaila ke
mujhe bhi hasrat-e-bos-o-kanar baqi hai

jahan ko chashm-e-haqiqat se dekh o ghafil
khuli hai aankh abhi iKHtiyar baqi hai

ummid hai hamein farda ho ya pas-farda
zarur hoegi sohbat wo yar baqi hai