hamesha dil mein jo apne KHayal-e-zulf-o-kakul hai
to sine mein nafas har ek mauj-e-bu-e-sumbul hai
fasan hai saKHt-jaani meri tegh-e-naz-e-qatil ko
ki yan jitna hai ranj-e-naza utna wan taghaful hai
mujhi ko kuchh tu apne kuche mein aane nahin deta
wagarna ai sitam-ijad har gulshan mein bulbul hai
teri mina-e-gardan ki sifat ki hai jo ai saqi
meri aawaz ko kahte hain sab aawaz-e-qulqul hai
wahi dil hai bhara ho nashsha jis mein jam-e-wahdat ka
ki hai chhati ka patthar bazm mein shisha jo be mul hai
mare jo soz-e-gham se jal ke ho wo nek-nam aaKHir
charagh-e-murda ko aksar yahi kahte hain sab gul hai
diya saman-e-gulshan hum ko hijr-e-rashk-e-gulshan ne
pareshani hai sumbul nala bulbul dagh-e-dil gul hai
likhi hain wasf yan tak nargis-e-maKHmur saqi ki
hai KHama gardan-e-mina sarir-e-KHama qulqul hai
baDha kar rabt kyunkar kam na munh dikhlae wo mah-ru
hua jab mah-e-kaamil din pe din us ko tanazzul hai
bahati hai kahin bhi mauj-e-naqsh-e-boriya KHas ko
na dega na-tawan ko ranj jo sahab tahammul hai
kaha us gul ne kul saman-e-gulshan mein bhi raTta hun
jo aashiq hai mera nalon se wo ham-chashm-e-bulbul hai
KHat-o-ruKHsar-o-chashm-o-zulf dikhla kar laga kahne
ye raihan hai ye gul hai aur ye nargis hai ye sumbul hai
KHayal-e-zulf-e-jaanan mein jo roun to uge sumbul
'wazir' aansu mera har ek goya tuKHm-e-sumbul hai
Ghazal
Hamesha dil mein jo apne KHayal-e-zulf-o-kakul hai
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi