hamein zahid jo kafir jaanta hai
to phir patthar ko tu kyun manta hai
na puchha us ne mujh ko kaun hai tu
hua sabit ki wo pahchanta hai
na mujh se pher munh kafir KHudara
are quran kyun gardanta hai
kahun kis se ki kya hai yar mera
use kuchh mera ji hi jaanta hai
bahut chaha na bolun yar tujh se
magar zalim ye dil kab manta hai
nahin chhalni hamara dil na hoga
hamari baat kyun tu chhanta hai
na denge jaan hum kahne pe us ke
raqib-e-ru-siyah kyun tanta hai
bhala kyun-kar use samjhae koi
wo kafir kab kisi ki manta hai
ghazab hai chheDna us fitna-gar ko
ye 'anjum' dil mein kya tu Thanta hai
Ghazal
Hamein zahid jo kafir jaanta hai
Mirza Asman Jah Anjum