hamein yunhi na sar-e-ab-o-gil banaya jae
hamare KHwab diye jaen dil banaya jae
dikhai deta hai taswir-e-jaan mein donon taraf
hamara zaKHm zara mundamil banaya jae
agar jalaya gaya hai kahin diye se diya
to kya ajab ki kabhi dil se dil banaya jae
shadid-tar hai tasalsul mein hijr ka mausam
kabhi milo ki use mo'tadil banaya jae
ye naqsh ban nahin sakta to kya zaruri hai
KHarab-o-KHasta o KHwar-o-KHajil banaya jae
Ghazal
Hamein yunhi na sar-e-ab-o-gil banaya jae
Zulfiqar Aadil