hamein yaad aawti hain baaten us gul-ru ki rah rah ke
nahin hain bagh mein mushtaq hum bulbul ke chah chah ke
karega qatl kis ko dekhiye wo tegh-zan yaro
chala aata hai apne hath mein qabze ko gah gah ke
nasha aisa hua us ki nigah ka jo nahin thamte
hamare ashk jate hain chale chashmon se bah bah ke
hum us ka muskurana yaad kar ro ro ke hanste hain
nahin mushtaq ab bazar ke KHandon ke qah-qah ke
suKHan mein faKHr apna bin kiye rahta nahin 'naji'
use samjhae 'hatim' kis tarah ashaar kah kah ke
Ghazal
Hamein yaad aawti hain baaten us gul-ru ki rah rah ke
Shaikh Zahuruddin Hatim

