اردو हिंदी
Hamein to mai-kade ka ye nizam achchha nahin lagta | Shaahi Shayari
hamein to mai-kade ka ye nizam achchha nahin lagta

Ghazal

Hamein to mai-kade ka ye nizam achchha nahin lagta

Aal-e-Ahmad Suroor

;

hamein to mai-kade ka ye nizam achchha nahin lagta
na ho sab ke liye gardish mein jam achchha nahin lagta

kabhi tanhai ki KHwahish ye hoti hai ki logon ka
payam achchha nahin lagta salam achchha nahin lagta

KHuda se lau lagaen ya KHudai se rahe rishta
faqat apni KHudi ka ehtiram achchha nahin lagta

jabin-e-pur-shikan KHasan-e-alam ki nahin bhati
magar ye bhi hai ghaugha-e-awam achchha nahin lagta

na KHushbu pairahan ki hai na zulfon ki na baaton ki
hamein ye jalwa-e-baala-e-baam achchha nahin lagta

mayassar ho to qadre lutf bhi nemat hai yan yaro
kisi ka wada-e-aish-e-dawam achchha nahin lagta

ye sasti lazzaton sasti siyasat ke pujari hain
hamein ahbab ka sauda-e-KHam achchha nahin lagta

jahan harkat nahin hoti wahan barkat nahin hoti
'surur' ab wadi-e-gul mein qayam achchha nahin lagta