اردو हिंदी
Hamein to KHair koi dusra achchha nahin lagta | Shaahi Shayari
hamein to KHair koi dusra achchha nahin lagta

Ghazal

Hamein to KHair koi dusra achchha nahin lagta

Mohsin Zaidi

;

hamein to KHair koi dusra achchha nahin lagta
unhen KHud bhi koi apne siwa achchha nahin lagta

nahin gar naghma-e-shadi nafir-e-gham sahi koi
ki saz-e-zindagani be-sada achchha nahin lagta

hamein ye band kamron ka makan kuchh bha gaya itna
ki hum ko ab koi aangan khula achchha nahin lagta

kuchh itni talKH us din ho gai thi guftugu un se
kai din se zaban ka zaiqa achchha nahin lagta

kabhi nazdik aa kar ru-ba-ru bhi hon mulaqaten
ki ham-sayon mein itna fasla achchha nahin lagta

kaThin raston pe chalna apni uftad-e-tabiat hai
hamein aasan koi rasta achchha nahin lagta

ise hum marsiya-goyon pe 'mohsin' chhoD dete hain
likhen hum aap apna marsiya achchha nahin lagta