hamein to harf-e-tamanna zaban pe lana hai
ye sher aur ye ghazlen to bas bahana hai
tumhaare hath ka patthar koi naya to nahin
jabin se sang ka rishta bahut purana hai
ho tere husn ka jadu ki mera josh-e-talab
nasha ye donon ka ek din utar hi jaana hai
wo musht-e-KHak-badan ho ki jaan ki KHushbu
har ek chiz ko ek din bikhar hi jaana hai
hai jazb-e-shauq barabar magar ba-faiz-e-ana
na hum hi jaenge un tak na un ko aana hai
Ghazal
Hamein to harf-e-tamanna zaban pe lana hai
Sajjad Syed