hamein to ek hi chehra dikhai deta hai
jise bhi dekhiye apna dikhai deta hai
ye kis ne aise ujalon ki aarzu ki thi
har ek ghar yahan jalta dikhai deta hai
nai sahar ne ujale janam diye hain magar
ye KHwab phir bhi adhura dikhai deta hai
yahan jo banTta phirta hai tishnagi ka bharam
mujhe to KHud bhi wo pyasa dikhai deta hai
talash hai mujhe us mehrban ki muddat se
jo mahfilon mein bhi tanha dikhai deta hai
dhuan hai jalte hue ghar sulagte nazzare
main kya bataun ki kya kya dikhai deta hai
ise bhi kijiye apne giroh mein shamil
ye shaKHs apne hi jaisa dikhai deta hai
ye kaisi aag mein hum log jal rahe hain 'rais'
har ek wajud pighalta dikhai deta hai
Ghazal
Hamein to ek hi chehra dikhai deta hai
Raees Akhtar