hamein to ab ke bhi aai na ras tanhai
tumhin batao ki hai kis ke pas tanhai
use bhi ab ke bahut ranj-e-narsai hai
khaDi hai shahr ki sarhad ke pas tanhai
isi liye to na sahra mein hai na basti mein
ki ho na jae kahin be-libas tanhai
tawil hijr ne donon ko yun KHarab kiya
ki us ke pas na ab mere pas tanhai
andheri raat mein aankhon mein KHwab ki surat
kabhi kabhi nazar aai udas tanhai
Ghazal
Hamein to ab ke bhi aai na ras tanhai
Mahtab Haider Naqvi