اردو हिंदी
Hamein taqsim karne ka hunar un par nirala hai | Shaahi Shayari
hamein taqsim karne ka hunar un par nirala hai

Ghazal

Hamein taqsim karne ka hunar un par nirala hai

Pramod Sharma Asar

;

hamein taqsim karne ka hunar un par nirala hai
magar un ko harane ka irada hum ne pala hai

zamane bhar ke ranj-o-gham kabhi mujh ko diye us ne
kabhi jab laDkhaDaya to mujhe baDh kar sambhaala hai

makhoTe wo sada jhuTe laga kar hum se hai milta
bahut shatir paDosi hai janam se dekha-bhaala hai

kiya jo bazm mein zikr-e-wafa un ki to wo bole
nahin jo muddaa us baat ko phir kyun uchhaala hai

kisi se qarz le kar shahar ko phir jaega 'hariya'
adalat ne jo is ka faisla hi kal pe Tala hai

bike hain log dene ko gawahi jhuT ke haq mein
magar sach jaante hain jo unhin ke munh pe tala hai

burai KHatm karne ko buron ka hath bhi thama
'asar' kanTe se hum ne paon ka kanTa nikala hai