hamein shuur-e-junun hai ki jis chaman mein rahe
nigah ban ke hasinon ki anjuman mein rahe
tu ai bahaar-e-gurezan kisi chaman mein rahe
mere junun ki mahak tere pairahan mein rahe
mujhe nahin kisi uslub-e-shairi ki talash
teri nigah ka jadu mere suKHan mein rahe
na hum qafas mein ruke misl-e-bu-e-gul sayyaad
na hum misal-e-saba halqa-e-rasan mein rahe
khule jo hum to kisi shoKH ki nazar mein khule
hue girah to kisi zulf ki shikan mein rahe
sarishk rang na baKHshe to kyun ho bar-e-mizha
lahu hina nahin banta to kyun badan mein rahe
hujum-e-dahr mein badli na hum se waz-e-KHiram
giri kulah hum apne hi bankpan mein rahe
ye hukm hai rahe muTThi mein band sail-e-nasim
ye zid hai bahr-e-tapan kuza-e-kuhan mein rahe
zaban hamari na samjha yahan koi 'majruh'
hum ajnabi ki tarah apne hi watan mein rahe
Ghazal
Hamein shuur-e-junun hai ki jis chaman mein rahe
Majrooh Sultanpuri