hamein ras aani hai rahon ki gaThri
rakho pas apni panahon ki gaThri
badal jae kash is hasin marhale par
hamari tumhaari gunahon ki gaThri
mohabbat ki rahen thin hamwar lekin
hamin Dho na pae nibahon ki gaThri
takalluf ke saman bikhre the baham
so bandhe rahe hum bhi banhon ki gaThri
ujale ke hain in dinon dam unche
chalo luT len ru-siyahon ki gaThri
dhari rah gai munsif-e-dil ke aage
bayanon ki gaThri gawahon ki gaThri
na ugli hi jae na nigale bane hai
gale mein phansi ek aahon ki gaThri
ye sukhi hui fasl-e-gham ji uThegi
agar khul gai in nigahon ki gaThri
uThengi kisi roz sailab ban kar
ye aabaadiyan hain tabahon ki gaThri
meri sidhi sadi si baaton pe mat ja
meri zat hai kaj-kulahon ki gaThri
Ghazal
Hamein ras aani hai rahon ki gaThri
Bakul Dev