hamein nit asir-e-bala chahta hai
hamari KHushi kab KHuda chahta hai
shab o roz roya karen KHun aankhen
yahi to wo rang-e-hina chahta hai
wo karta hai apne hi ji mein burai
kisi ka koi gar bura chahta hai
dila baiTh rah rakh ke dandan jigar par
tawakkul ka gar tu maza chahta hai
ise aap se dhyan aane ka tere
wo gul tujh ko baad-e-saba chahta hai
mere ustuKHan se bhi hai us ko nafrat
mare faqa kar ke huma chahta hai
nahin KHwahish us ki khuli hum pe ab tak
wo kya mangta hai wo kya chahta hai
magar ye ki in rozon phir 'mushafi' ko
tere gham mein sauda hua chahta hai
Ghazal
Hamein nit asir-e-bala chahta hai
Mushafi Ghulam Hamdani

