hamein nazdik kab dil ki mohabbat khinch lati hai
tujhe teri mujhe meri zarurat khinch lati hai
chhupa hai jo KHazana tah mein in banjar zaminon ki
use bahar zamin se meri mehnat khinch lati hai
main mazi ko bhula kar apne mustaqbil mein zinda hun
nigahon se hai jo ojhal bashaarat khinch lati hai
mera dushman meri aankhon se ojhal ho nahin sakta
mere nazdik us ko dil ki nafrat khinch lati hai
samundar par jaane wale ek dan lauT aaenge
mera iman hai miTTi ki mohabbat khinch lati hai
jo apna ghar kisi ke ishq mein barbaad karte hain
unhen sahra mein un ke dil ki wahshat khinch lati hai
kabhi hota hai jo viran mere shahr ka maqtal
kisi mansur ko 'arif' sadaqat khinch lati hai
Ghazal
Hamein nazdik kab dil ki mohabbat khinch lati hai
Arif Shafiq