hamein nasib koi dida-war nahin hota
jo dastaras mein hamari hunar nahin hota
main rose us se yahin ham-kalam hota hun
darun-e-ruh kisi ka guzar nahin hota
jala diye hain kisi ne purane KHat warna
faza mein aisa to raqs-e-sharar nahin hota
mohabbaton ke kai ism main ne paDh Dale
ajab tilism hai wa is ka dar nahin hota
agar main shab ki siyahi na chir kar niklun
koi ujala mera ham-safar nahin hota
kisi ke naqsh-e-qadam ki thi justuju warna
main is tarah to 'suKHan' dar-ba-dar nahin hota
Ghazal
Hamein nasib koi dida-war nahin hota
Abdul Wahab Sukhan