hamein kuchh aur jina hai to dil ko shad rakkhenge
bahut kuchh bhul jaenge bahut kuchh yaad rakkhenge
abhi kuchh aur kartab dekhne bhi hain dikhane bhi
tamasha-gah-e-alam hum tujhe aabaad rakkhenge
agar ghar ka KHayal aaya to rasta bhul jaenge
safar mein dasht ko jate hue hum yaad rakkhenge
muqabil aaenge har bar taza hausla le kar
tujhe hum aazmaish mein sitam-ijad rakkhenge
purani ho gai duniya use mismar karna hai
nai tamir ki KHatir nai buniyaad rakkhenge
Ghazal
Hamein kuchh aur jina hai to dil ko shad rakkhenge
Obaid Siddiqi