hamein KHabar nahin kuchh kaun hai kahan koi hai
hamesha shad ho aabaad ho jahan koi hai
jagah na chhoDe ki sail-e-bala hai tez bahut
uDa paDa hi rahe ab jahan tahan koi hai
fishaar-e-girya kisi taur be-maqam nahin
dayar-e-gham hai kahin par pas-e-fughan koi hai
wo koi KHadsha hai ya wahm-e-KHwab hai ki KHayal
ki ho na ho mere dil apne darmiyan koi hai
kabhi to aisa hai jaise kahin pe kuchh bhi nahin
kabhi ye lagta hai jaise yahan wahan koi hai
kabhi kabhi to ye lagta hai fard fard hain hum
ye aur baat hamara bhi karwan koi hai
kahin pahunchna nahin hai use magar phir bhi
misal-e-baad-e-bahaaran rawan-dawan koi hai
hua hai apne safar se hazar se begana
wahin wahin pe nahin hai jahan jahan koi hai
chhalak jo uThti hai ye aankh fart-e-wasl mein bhi
to sarKHushi mein abhi ranj-e-raegan koi hai
shikast-e-dil hai to kya rah-e-ishq tark na kar
ye dekh kya kahin parwarda-e-ziyan koi hai
ab us nigah-e-fusun-kar ka qusur hai kya
hamein dikhao agar zaKHm ka nishan koi hai
kahin pe aaj bhi wo ghar hai hansta basta hua
ye wahm sa hai tere dil ko ya guman koi hai
jawar-e-qarya-e-yaran mein ja nikalta hun
ki jaise ab bhi wahin mera mehrban koi hai
Ghazal
Hamein KHabar nahin kuchh kaun hai kahan koi hai
Abrar Ahmad