hamein KHabar bhi nahin yar khinchta hai koi
hamare beach mein diwar khinchta hai koi
ye kaisa dasht-e-tahayyur hai yan se kuch karo
hamare panw se raftar khinchta hai koi
hai chaak chaak hamare lahu ka pairahan
hamari ruh se jhankar khinchta hai koi
main chal raha hun musalsal bina tawaqquf ke
mujhe ba-surat-e-parkar khinchta hai koi
yahan to mal-e-ghanimat samajh rahe hain sabhi
qaba bachao to dastar khinchta hai koi
use sikhao ki tahzib-e-guftugu kya hai
zara si baat pe talwar khinchta hai koi
hai mera nam bhi is mahzar-e-shahadat mein
mujhe bhi lashkar-e-inkar khinchta hai koi
munaf-e-jazb-e-darun main hun in dinon 'shahid'
mujhe ek aks-e-pur-asrar khinchta hai koi
Ghazal
Hamein KHabar bhi nahin yar khinchta hai koi
Shahid Kamal