hamein kaun puchhe hai sahibo na sawal mein na jawab mein
na to koi aadmi jaane hai na hisab mein na kitab mein
na to ilm apne mein hai yahan ki KHuda ne bheja hai kis liye
isi ko jo kahte hain zindagi so to jism ke hai azab mein
yahi shakl hai jise dekho ho yahi waza hai jise ghuro ho
jise jaan kahte hain aadmi use dekha aalam-e-KHwab mein
main KHilaf tum se nahin kaha ise mano ya ki na mano tum
main ne apni aankhon se dekha main ki mila hun us ki janab mein
na sunoge 'soz' ki guftugu jo phiroge DhunDne ku-ba-ku
ye nasha hai us ke bayan mein ki nahin nasha hai sharab mein
Ghazal
Hamein kaun puchhe hai sahibo na sawal mein na jawab mein
Meer Soz