اردو हिंदी
Hamein kahti hai duniya zaKHm-e-dil zaKHm-e-jigar wale | Shaahi Shayari
hamein kahti hai duniya zaKHm-e-dil zaKHm-e-jigar wale

Ghazal

Hamein kahti hai duniya zaKHm-e-dil zaKHm-e-jigar wale

Saail Dehlvi

;

hamein kahti hai duniya zaKHm-e-dil zaKHm-e-jigar wale
zara tum bhi to dekho hum ko tum bhi ho nazar wale

nazar aaenge naqsh-e-pa jahan us fitnagar wale
chalenge sar ke bal rasta wahan ke rahguzar wale

sitam-ijadiyon ki shan mein baTTa na aa jae
na karna bhul kar tum jaur charKH-e-kina-war wale

jafa-o-jaur-e-gul-chin se chaman matam-kada sa hai
phaDakte hain qafas ki tarah aazadi mein par wale

alif se ta-ba-ya lillah afsana suna dije
janab-e-musa-e-imran wahi hairat-nagar wale

hamein malum hai hum mante hain hum ne sikha hai
dil aazurda hua karte hain az had chashm-e-tar wale

kaTane ko gala aaThon pahr maujud rahte hain
wo dil wale jigar wale sahi hum bhi hain sar wale

tamasha dekh kar duniya ka 'sael' ko hui hairat
ki takte rah gae bad-gauharon ka munh guhar wale