hamein bhula nahin afsana dil ka
abhi hathon mein hai paimana dil ka
dhuan uThta nazar aata hai har-su
abhi aabaad hai virana dil ka
jahan bikhri hai ab KHakistar-e-dil
usi ja tha kabhi kashana dil ka
abhi tak yaad hain wo din ki jab tha
har ek aawara gham diwana dil ka
wo ummidon ka ek halka tabassum
dhaDak uThna wo betabana dil ka
kisi aansu ki gham hoti sada par
larazna Dubna ghabrana dil ka
gham-e-dauran gham-e-jaanan gham-e-jaan
har ek manzil pe tha nazrana dil ka
khile jate the gul har har qadam par
kahin bhi qafila Thahra na dil ka
tilism-e-rang-o-bu tha TuTne tak
Thikana phir na tha gul ka na dil ka
udhar arman idhar ehsas-e-hirman
chhuTa kis moD par yarana dil ka
hamein baada-kash-e-dard-e-tamanna
hamin par band hai mai-KHana dil ka
Ghazal
Hamein bhula nahin afsana dil ka
Anvar Moazzam