اردو हिंदी
Hamein bhi matlab-o-mani ki justuju hai bahut | Shaahi Shayari
hamein bhi matlab-o-mani ki justuju hai bahut

Ghazal

Hamein bhi matlab-o-mani ki justuju hai bahut

Zafar Iqbal

;

hamein bhi matlab-o-mani ki justuju hai bahut
harif-e-harf magar ab ke du-ba-du hai bahut

waqar ghar ki tawazo hi par nahin mauquf
ba-faiz-e-shairi bahar bhi aabru hai bahut

phaTe purane dilon ki KHabar nahin leta
agarche jaanta hai hajat-e-rafu hai bahut

badan ka sara lahu khinch ke aa gaya ruKH par
wo ek bosa hamein de ke surKH-ru hai bahut

idhar udhar yun hi munh marte bhi hain lekin
ye mante bhi hain dil se ki hum ko tu hai bahut

ab us ki did mohabbat nahin zarurat hai
ki us se mil ke bichhaDne ki aarzu hai bahut

yahi hai be-sar-o-pa baat kahne ka mauqa
pata chalega kise shor chaar-su hai bahut

ye haal hai to badan ko bachaiye kab tak
sada mein dhup bahut hai lahu mein lu hai bahut

yahi hai fikr kahin man hi na jaen 'zafar'
hamare mojaza-e-fan pe guftugu hai bahut