hamein bhi kyun na ho dawa ki hum bhi yakta hain
hamare KHun ke pyase jab ahl-e-duniya hain
bas is KHata pe ki pahchante hain kyun sab ko
ye sahiban-e-nazar shahr bhar mein ruswa hain
hum ahl-e-dil ka zamana hi sath de na saka
hamein bhi dukh hai ki hum is safar mein tanha hain
hamein na jaano faqat Dubta hua lamha
hamein yaqin hai ki hum hi nishan-e-farda hain
miTa sakegi hamein kya koi siyah-baKHti
hum apna jism bhi hain hum hi apna saya hain
hamein pukar na ab ai arus-e-shabnam-o-gul
hamein na DhunDh ki hum be-kanar sahra hain
sada-e-saz nahin ham-nawa-e-gham hi sahi
hamein suno ki hamein e'tibar-e-naghma hain
Ghazal
Hamein bhi kyun na ho dawa ki hum bhi yakta hain
Khalilur Rahman Azmi