hamein barbaadiyon pe muskurana KHub aata hai
andheri raat mein dipak jalana KHub aata hai
ghalat-fahmi tumhein kuchh aur aata ho na aata ho
achanak aag pani mein lagana KHub aata hai
zara si baat pe diwar khinchwane laga hai wo
use bhi rai ka parbat banana KHub aata hai
tere har jhuTh ko sach man lete hain hamesha hum
hamein bhi rasm-e-ulfat ko nibhana KHub aata hai
kisi ke samne sar ko jhukate hum nahin lekin
KHuda ke samne sar ko jhukana KHub aata hai
tumhaare gham ne hi baKHshi hai hum ko ye hunar-mandi
hamein ashko ko ab moti banana KHub aata hai
Ghazal
Hamein barbaadiyon pe muskurana KHub aata hai
Chandni Pandey