hamein apni masafat be-maza karna nahin hai
safar karna hai manzil ka pata karna nahin hai
bala se hum kisi sahil pe pahunchen ya na pahunchen
kisi bhi naKHuda ko ab KHuda karna nahin hai
hawaon se hi qaem hai hamari zau-fishani
hawaon se charaghon ko juda karna nahin hai
badalte waqt ke tewar parakhna chahte hain
kaha kis ne buzurgon ka kaha karna nahin hai
tumhin zamin ho meri zindagi ke mere KHwabo
tumhein ek pal bhi aankhon se riha karna nahin hai
kai aashufta-sar mil jaenge raste mein 'alam'
kisi ke waste hum ko sada karna nahin hai
Ghazal
Hamein apni masafat be-maza karna nahin hai
Alam Khursheed