hamdamo kya mujh ko tum un se mila sakte nahin
main to ja sakta hun wan gar yan wo aa sakte nahin
sharm hai un ko bahut har-dam chimaTne se mere
wo taDapte hain wa-lekin ghul macha sakte nahin
hath mein hai hath aur koi nahin hai aas-pas
wo to hain qabu mein par hum ji chala sakte nahin
chaudhwin hai raat aur chhiTki hui hai chandni
hum kamand ab un ke koThe par laga sakte nahin
kyun miyan-'rangin' bhala ab is zamin mein soch se
kya ghazal tum hasb-e-haal apni suna sakte nahin
bas main hain wo ghair ke hum ko bula sakte nahin
aur hum us ja kisi surat se ja sakte nahin
hum ko un se un ko hum se jitni ulfat hai use
wo ghaTa sakte hain lekin hum ghaTa sakte nahin
ghair se hum ko dilate hain wo lakhon galiyan
pichhli baaten yaad hum un ko dila sakte nahin
but bane hain yun to hum baaten banate hain hazar
baat lekin wasl ki aslan bata sakte nahin
Ghazal
Hamdamo kya mujhko tum un se mila sakte nahin
Rangin Saadat Yaar Khan