hamari zat mein baste sabhi hain
hum achchhe hain to phir achchhe sabhi hain
yaqin kaise karen wade pe tere
yahi wada hai jo karte sabhi hain
dikhai kyun nahin deta kisi ko
KHuda ki khoj mein nikle sabhi hain
mere andar faqat qatra nahin hai
samundar jhil aur jharne sabhi hain
zamin par aaega wo aasman se
nazara dekhne Thahre sabhi hain
chali thi ek hawa kuchh der pahle
usi ke KHauf se sahme sabhi hain
sabaq lete nahin hum kyun kisi se
hamare samne qisse sabhi hain

Ghazal
Hamari zat mein baste sabhi hain
Obaid Haris