اردو हिंदी
Hamari yaad unhen aa gai to kya hoga | Shaahi Shayari
hamari yaad unhen aa gai to kya hoga

Ghazal

Hamari yaad unhen aa gai to kya hoga

Aslam Azad

;

hamari yaad unhen aa gai to kya hoga
ghaTa idhar ki udhar chha gai to kya hoga

abhi to bazm mein qaem hai do dilon ka bharam
nazar nazar se jo Takra gai to kya hoga

dhaDak raha hai sar-e-sham hi se dil kam-baKHt
visal-e-yar ki subh aa gai to kya hoga

ye sochta hun ki dil ki udas galiyon se
tumhaari yaad bhi katra gai to kya hoga

surur aa gaya rindon ko dekhte hi subu
jo mai-kade pe ghaTa chha gai to kya hoga

wo baat jis se dhuan uTh raha hai sine se
wo baat lab pe agar aa gai to kya hoga

wafa ka dam na bharo dosto tum 'aslam' se
tumhein jo waqt pe jhuTla gai to kya hoga