hamari tahriren wardaten bahut zamane ke baad hongi
rawan ye be-his udas nahren hamare jaane ke baad hongi
khinchi hui hain ufuq se dil tak alamat-e-wasl ki lakiren
magar ye zinda kai qabilon ka KHun bahane ke baad hongi
talab ke mausam ganwae main ne kamal-e-gham se dhuan dhuan tum
shikayaten ye kaDe mahazon se lauT aane ke baad hongi
guzarte patton ki chap hogi tumhaare sehan-e-ana ke andar
fasurda yaadon ki barishen bhi mujhe bhulane ke baad hongi
larazti palkon ki chilmanon par nahin sitara bhi pichhli shab ka
kaha tha tum ne ki chand raaten tumhaare aane ke baad hongi
zamin pairon se niklegi jab khulenge sab bhed sahilon ke
rihaishon ki sharait ab kashtiyan jalane ke baad hongi
Ghazal
Hamari tahriren wardaten bahut zamane ke baad hongi
Musavvir Sabzwari