hamari tabahi mein kuchh us ka ehsan bhi hai
jo dard in dinon wajh aaraish-e-jaan bhi hai
yahi fasl kaliyan jhulasti hain jis fasl mein
suna hai naya nam is ka bahaaran bhi hai
bikhera gaya hai lahu un ke eazaz mein
bahaaron mein KHushbu-e-KHun-e-shahidan bhi hai
un aankhon ki taqdir ab ashk-rezi hui
aur ashkon ki taqdir mein rang-e-marjaan bhi hai
agar raat kaT jae to KHush-nasibi kaho
fazaon mein andesha-e-baad-o-baran bhi hai
Ghazal
Hamari tabahi mein kuchh us ka ehsan bhi hai
Saqi Faruqi