hamari samt hain sare Dhalaw
paDa har sail ka hum par dabaw
mile hain sada-lauhi ki saza mein
luTere naKHuda kaghaz ki naw
wahan bhi wahshaten tanhaiyan hain
zara sahra se wapas ghar to jao
na jaane kab ye aag aa jae bahar
ki sinon mein dahakte hain alaw
hawa ka jis taraf ruKH ho gaya hai
usi jaanib hai shaKHon ka jhukao
zamin kya aasman bhi muntazir hai
hisar-e-zat se bahar to aao
kahenge log 'ahsan' tum ko pagal
mohabbat hai to ye tohmat uThao
Ghazal
Hamari samt hain sare Dhalaw
Ehsan Ali Khan