hamari sair ko gulshan se ku-e-yar behtar tha
nafir-e-bulbulon se nala-ha-e-zar behtar tha
anal-haq ki haqiqat ko jo ho mansur so jaane
ki us ko aasman chaDhne se chaDhna dar behtar tha
kabhu bimar sun kar wo ayaadat ko to aata tha
hamein apne bhale hone se wo aazar behtar tha
tu apne man ka manka pher zahid warna kya hasil
tujhe is makr ki tasbih se zunnar behtar tha
na kahta main ki aashiq hun tera to kyun wo ram karta
mujhe iqrar ab karne se wo inkar behtar tha
hamari aql mein ghar ki giraftari se 'hatim' ko
kaho diwana phirna kucha o bazar behtar tha
Ghazal
Hamari sair ko gulshan se ku-e-yar behtar tha
Shaikh Zahuruddin Hatim