hamari qurbaton mein fasla na rah jae
qadam se lipTa hua rasta na rah jae
hawa-e-wahshat-e-dil tez chal rahi hai bahut
rida-e-hijr mera sar khula na rah jae
KHuda ke nam pe jis tarah log mar rahe hain
dua karo ki akela KHuda na rah jae
ye log kis liye apne tawaf mein hain magan
sanam-kade mein musalla bichha na rah jae
tanaben kaT raha hai wo KHwahishon ki meri
kahin pe dasht mein KHema laga na rah jae
ye lamha lamha jo hum jam-e-hijr pi rahe hain
to tishnagi ka saliqa dhara na rah jae
mujaviran-e-adab ek nazar inayat ki
ghazal ki shakl mein katba laga na rah jae
Ghazal
Hamari qurbaton mein fasla na rah jae
Tasneem Abidi