hamari pyas ko itna jagaya hai muqaddar ne
ki ek qatre ko bhi dariya banaya hai muqaddar ne
kabhi tufan se Takrae kabhi maujon se laD baiThe
hamein haalat se laDna sikhaya hai muqaddar ne
hamari chahaton ki shab bhi guzri waqt se pahle
hamein ek KHwab aisa bhi dikhaya hai muqaddar ne
na koi aarzu hai ab na koi justuju mujh ko
mujhe kyun zindagi se ab milaya hai muqaddar ne
jahan manzil to hasil hai magar apna nahin koi
mujhe kyun aise raston par chalaya hai muqaddar ne
rulaya hai sataya hai jalaya hai ki ai 'talib'
sitam ka har tariqa aazmaya hai muqaddar ne
Ghazal
Hamari pyas ko itna jagaya hai muqaddar ne
Murlidhar Sharma Talib