hamari nind mein koi sarab-e-KHwab bhi nahin
ye kaisa regzar hai fareb-e-ab bhi nahin
the kaise kaise log mere KHema-e-KHayal mein
gae dinon ki KHair ho ki ab tanab bhi nahin
ye hadisa ki barf-bariyon ki zad pe aa gae
magar ye waqia lahu mein koi tab bhi nahin
na kuchh gila na iltifat-e-hijr ki siyah raat
faramushi ka daur hai ki ab azab bhi nahin
ye lamha lamha zindagi kuchh is tarah se kaT gai
kahan pe KHarch kya hua koi hisab bhi nahin
Ghazal
Hamari nind mein koi sarab-e-KHwab bhi nahin
Qamar Siddiqi