hamari mohabbat numu se nikal kar kali ban gai thi magar thi numu mein
nigahon se baaten kiye ja rahe the aTakti jhijakti hui guftugu mein
na de hum ko ilzam tu ye ki hum ne teri chah mein kuchh kiya hi nahin hai
makan khod Dale zaman noch Dale kahan aa gae hum teri justuju mein
mujhe ye mila hai mujhe wo mila hai mujhe sab mila hai magar ye gila hai
main kya mangta tha ye kya mil gaya hai ki sab mil gaya hai teri aarzu mein
kahin KHushbuon ki zarurat paDi to tumhein soch kar sans khinche gae hain
na jaane kahan se chali aa rahi hai ye KHushbu tumhaari hamare lahu mein
bhaTakta phira main idhar se udhar aur udhar se idhar aur kidhar se kidhar
dhuan-dar mahfil na jam o subu mein maza jo hai wo hai faqat apni KHu mein
Ghazal
Hamari mohabbat numu se nikal kar kali ban gai thi magar thi numu mein
Imran Shamshad