hamari mahfilon mein be-hijab aane se kya hoga
nahin jab hosh mein hum jalwa farmane se kya hoga
junun ke sath thoDi si faza-e-la-makan bhi de
meri wahshat ko is duniya ke virane se kya hoga
hai mar jaana kalid-e-fath samjhaya tha rindon ne
magar naseh ye kahta hai ki mar jaane se kya hoga
zahe qismat agar hazrat KHud apna jaeza bhi len
hamari zindagi par tir barsane se kya hoga
agar hamdard bante ho to zanjiren zara kholo
meri pa-bastagi par yunhi gham khane se kya hoga
dar-e-pir-e-mughan chhoDen ye hum se ho nahin sakta
koi waiz se kah do tere bahkane se kya hoga
jise dekho wo hai sarmast-e-sahba-e-KHirad yaksar
KHudawanda! yahan ek tere diwane se kya hoga
nahin qalb o jigar mein KHun ka qatra koi baqi
azizo ab hamare hosh mein aane se kya hoga
dukhon ko kho nahin sakte agar ahl-e-KHirad 'arshi'
to KHali sina-e-aflak barmane se kya hoga
Ghazal
Hamari mahfilon mein be-hijab aane se kya hoga
Arshi Rampuri