hamari KHwahishon mein sargirani bhi kahan thi
aur us ko zindagi hum se nibhani bhi kahan thi
hawa le aai thi is shahr mein ai dost warna
abhi pesh-e-nazar naql-e-makani bhi kahan thi
tumhaara naqsh in aankhon se dhulta bhi to kaise
ki dariya mein wo pahli si rawani bhi kahan thi
wo apne zoam mein bichhDa magar main sochta hun
hamare darmiyan koi kahani bhi kahan thi
bahut jaldi chale aae hain hum kar-e-jahan se
wagarna zindagi itni purani bhi kahan thi
Ghazal
Hamari KHwahishon mein sargirani bhi kahan thi
Hamid Zahoor