اردو हिंदी
Hamari kawish-e-sher-o-suKHan be-kar jati hai | Shaahi Shayari
hamari kawish-e-sher-o-suKHan be-kar jati hai

Ghazal

Hamari kawish-e-sher-o-suKHan be-kar jati hai

Sardar Asif

;

hamari kawish-e-sher-o-suKHan be-kar jati hai
ghazal kaisi bhi ho us ke badan se haar jati hai

ye kaise marhale mein phans gaya hai mera ghar malik
agar chhat ko bacha bhi lun to phir diwar jati hai

mere KHwabon ka us ki aankh se rishta nahin TuTa
meri parchhain akasr jhil ke is par jati hai

chalo aazad ho kar kam se kam itna to hum sikhe
koi sarkar aati hai koi sarkar jati hai

jala kar Thik se taqon mein in ko rakh diya jae
to phir aise charaghon se hawa bhi haar jati hai