hamari jab hamari ab hamari kab se kya matlab
gharaz un ko gharaz se kya gharaz matlab se kya matlab
aziz-o-aqriba par be-sabab wo zulm Dhata hai
KHata-war-e-mohabbat to hamin hain sab se kya matlab
agar hum jaan dete hain to un ke husn-e-surat par
hamein bartaw se andaz se ya Dhab se kya matlab
KHuda ka nam bhi lete hue main hichkichata hun
wo puchhenge tumhaara nara-e-yarab se kya matlab
wafaen kijiye pichhli jafaen bhul jaengi
agar matlab hai to ab se hamein hai jab se kya matlab
alag aana alag jaana alag rahna alag phirna
rah-e-ulfat mein sab ko hum se hum ko sab se kya matlab
jo mazmun-e-KHat-e-pur-shauq mera wo nahin paDhta
ye matlab hai ki mujh ko mani-o-matlab se kya matlab
agar main puchhta hun aap mere ghar kab aaenge
to wo kahte hain aaenge magar is kab se kya matlab
na mazhab hai na mashrab hai koi hum baada-KHwaron ka
hamein mashrab se kya nisbat hamein mazhab se kya matlab
KHuda se hashr mein kah denge hum duniya ke jhagDon par
gai wo baat jab ke sath jab ki ab se kya matlab
amir-e-KHud-gharaz hi ko gharaz matlab se matlab hai
faqir-e-be-gharaz ko hai gharaz matlab se kya matlab
zamana gharq-e-bahr-e-gham jo hota hai to hone do
tum apni KHair mango 'nuh' tum ko sab se kya matlab
Ghazal
Hamari jab hamari ab hamari kab se kya matlab
Nooh Narvi