hamari jagti aankhon mein KHwab sa kya tha
ghaneri shab mein uga aaftab sa kya tha
kahin hui to thi halchal kahin pe gahre mein
bigaD bigaD ke wo banta habab sa kya tha
tamam jism mein hoti hain larzishen kya kya
sawad-e-jaan mein ye bajta rabab sa kya tha
hamari pyas pe barsa andhere ujiyale
wo kuchh ghaTaon sa kuchh mahtab sa kya tha
zara si der bhi rukta to kuchh pata chalta
wo rang tha ki thi KHushbu sahab sa kya tha
ye tishnagi ka safar kaT gaya hai jis ke tufail
wo dasht dasht chhalakta sarab sa kya tha
tamam umr khapaya hai jis mein sar 'bilqis'
bhala wo be-sar-o-pa si kitab sa kya tha
Ghazal
Hamari jagti aankhon mein KHwab sa kya tha
Bilqis Zafirul Hasan