hamari gardish-e-pa raston ke kaam aai
kahin pe subh hui aur kahin pe sham aai
giran guzarne laga tha sukut-e-mai-KHana
bahut dinon mein sada-e-shikast-e-jam aai
kahan pe TuTa tha rabt-e-kalam yaad nahin
hayat dur talak hum se ham-kalam aai
kisi ko tera tabassum mila kisi ko ada
hamare nam teri sohbaton ki sham aai
wahin pe barsa hai baadal jahan hawa ne kaha
hamari chhat pe to barish barae-nam aai
Ghazal
Hamari gardish-e-pa raston ke kaam aai
Zubair Rizvi