hamari bechaini us ki palken bhigo gai hai
ye raat yun ban rahi hai jaise ki so gai hai
diye the kali ghaTa ko hum ne udhaar aansu
kise kahen ab ki sari punji Dubo gai hai
hum us ki KHatir bacha na paenge umr apni
fuzul-KHarchi ki hum ko aadat si ho gai hai
wo ek sahil ki jis pe tum KHud ko DhunDte ho
wahin pe ek sham mere hisse ki kho gai hai
main yun hi mohre baDha raha hun jhijak jhijak kar
KHabar use bhi hai bazi wo haar to gai hai

Ghazal
Hamari bechaini uski palken bhigo gai hai
Sabir