hamari baat ka ulTa asar na paD jae
ye dil ka bojh kahin jaan par na paD jae
tamam raat sulagta hun aur sochta hun
kisi charagh ki mujh par nazar na paD jae
isi KHayal se zaKHmon ki ru-numai na ki
ki imtihan mein kahin chaara-gar na paD jae
phir is ke baad kahan jaenge ye saya-pasand
idhar ki dhup kisi din udhar na paD jae
lagi to hai ye barabar mere taaqub mein
gale hawa ke kahin ye safar na paD jae
ye dasht-e-ishq hai ghaer zara KHayal rahe
tumhaara panw kisi din idhar na paD jae
Ghazal
Hamari baat ka ulTa asar na paD jae
Kashif Husain Ghair