hamari aazmaish ka agar kuchh gham nahin hoga
to phir ye silsila-dar-silsila bhi kam nahin hoga
zamana kaise samjhega ki hum par wajd hai tari
surur-o-kaif-o-masti ka agar aalam nahin hoga
uTho phir aa rahe hain sab tumhein lalkarne wale
kisi ke hath mein bhi amn ka parcham nahin hoga
ye mumkin kis tarah hoga ki apne shahr mein logo
KHafa koi nahin hoga koi barham nahin hoga
hamare pas aae shauq se 'ansar' wo lekin
mohabbat ki koi rut pyar ka mausam nahin hoga

Ghazal
Hamari aazmaish ka agar kuchh gham nahin hoga
Qazi Ansar