hamari aankhon mein ashkon ka aa ke rah jaana
jhuka ke sar ko tera muskura ke rah jaana
dila bahut na ulajh nama-bar ko kya main ne
sikha diya tha ki jaana to ja ke rah jaana
shahid-e-naz ki bhuli nahin mujhe surat
teri taraf ko nigahen phira ke rah jaana
wo bazm-e-ghair wo har bar iztirab mera
ba-maslahat wo tera muskura ke rah jaana
Thahar to ja ruKH-e-jaanan pe ai nigah kuchh der
sanad nahin faqat aansu baha ke rah jaana
nigah-e-naz se saqi ka dekhna mujh ko
mera wo hath mein saghar uTha ke rah jaana
jo puchhen hashr mein kuchh wo to han dila shabash
wahan bhi tu yun hi baaten bana ke rah jaana
agar tha nashsha to girna tha pa-e-KHum pe mujhe
mujhe pasand nahin laDkhaDa ke rah jaana
nahin ye husn nahin baKHt ki hai kotahi
sawal-e-wasl ka honTon tak aa ke rah jaana
kisi tarah to ye jism-e-kasif pak ho shad
gali mein yar ki jaana to ja ke rah jaana
Ghazal
Hamari aankhon mein ashkon ka aa ke rah jaana
Shad Azimabadi