hamari aankhon ki putliyon mein tera mubarak maqam haiga
palak ke paT hum ne khol dekhe to ain mah-e-tamam haiga
are sharab-e-KHirad ke kaifi na kar tun dawa-e-puKHta-magzi
mai-e-mohabbat ka jam pi tun ki ab talak zarf KHam haiga
KHayal-e-abru-e-qibla-ruyan hua hai mehrab-e-sajda-e-dil
namaz shart-e-niyaz ki paDh saf-e-junun ka imam haiga
agarche har sarw-e-rast-qamat chaman mein maghrur-e-sar-kashi hai
muqabil is qadd-e-KHush-ada ke meri nazar mein ghulam haiga
'siraj' is shoala-ru sin hargiz gila rawa nin hai aashiqon kun
tamam jalti hai shama har shab abas patingon ka nam haiga
Ghazal
Hamari aankhon ki putliyon mein tera mubarak maqam haiga
Siraj Aurangabadi

